Fariyaad - Brown Drape

Fariyaad

Spread the love

Duaao mein jaise tumne ek baar apne khuda ko yaad kiya tha, ek baar phir dua karo ussi khuda se..

Kaho usse ,”Wapas jana hai un sab ke pass.”

Tumhari haath ki roti yaad aati hai, main kahu toh maanogi, maa?

Kitni baar koshish ki par phir bhi tumhari yaadein rula hi deti hai… Tumhari safety-pin ek baar chubh gayi thi mujhe. Yaad zaroor hoga tumhe.. Kuch aise hi aaj kal chubti rehti hai teri yaadein.

Ab jab school se ghar aati hoon toh koi nai hota humara intezar karte hue.. Dal bhi thandi pad jaati hai, ghee ki ek parat jum jaati hai uspar. Baarisho mein tum ab uss kidhki ke pass kaha gungunati huye baithi rehti ho? Rim jhim gire saawan, sulag sulag jaaye mann… hmmm-mm aaj iss mausam mein hmm-mm lagan…

Raat ko aaj bhi bhai kaapta hai, tumhe hi dhundta hai… Na jaane maine kitni baar tumhari tarha use sehlaya hai, par maa jaisi hoon, maa nahi..
Tum shayad kabhi kabhi uske sapno mein aati ho? Hasta hai apne sapne mein aaj kal. Tumhe bhul jaye toh acha hai, use bhi takleef kaam hogi.
Tum bhi dur humse, kaha ho tum?
Kuch saalo baad hum tumhara aks bhuljayenge … tumhari mehendi ki khushboo bhul jayenge
Nahi bhulenge toh tumhara sparsh.. tumhare seene par sir chhupa kar rona.. tumhare dil ki dhadkan, chahe woh ruk hi kyun na gayi ho …


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *